Eiman Kya Hai

MADAARIYA LIBRARY

 EIMAAN KYA HAI

hadees pak



1. Iman sabr aur fayyazi ka naam h,

Fi makaramul ikhlaaq, hazrat jaabar radiallah tala anh 


2.iman haram ashya aur nafsani khuvahishat se affat aur pak damani ka naam h,

Al huliyatul abi naeem hazrat mohammad ibne nazurul harsi mursalan


3. iman aur amal do bhai h dono ek cheez Allah tala kisi ek ko dusre k bagair qubool na farma e ga,

Al sunnatul ibne shaheen,  hazrat e ali alehissalam


Isliye iman jo tasdeeq e qalbi ka naam h amal k bagair be fayda h, aur iman jo tasdeeq e qalbi ka naam h uske bagair amal ka fayda matassevar hi nhi ho sakta


Sabse kamil iman vala vaah shakhs h jis ki zaban aur haath se dusre musalman mehfooz rahain,

Mustadrak hazrat Jabir radiallah tala anh 


Sabse ala iman yeh h ki insaniyat tujhse mamoon hojaye aur sabse ala Islam ye h ki insaniyat tere haath aur teri zaban se mehfooz ho jaye aur sabse ala hijrat ye h ki tum buraion ko chhod do aur sabse ala jihaz ye h ki tum shaheed hojao aur tumara Goda zakhmi hojaye,,,,,

Al timrani al ust hazrat e umar radiallah tala anh 



PESH kardah

Faqeer, dar e qutubul madar,,, shaikh shanuddin Mohammad jalali qalandari malangi madari, khadim khanqah jalaliya madariya gormi shareef,,,,,

========================