خیر البشر دیکھتے ہیں
عرب اور عجم میں جدھر دیکھتے ہیں
تیرے نقش پا ہم ادھر دیکھتے ہیں
دھنی ہے مقدر کے اہل مدینہ
تیرے در کے شام و سحر دیکھتے ہیں
نبی پاک کے روئے انور کی جانب
تعجب سے شمس و قمر دیکھتے ہیں
جمال و جلال نبی اللہ اللہ
صحابائے اہل نظر دیکھتے ہیں
جو محفل میں بیٹھیں تو غافل نہ بیٹھیں
سنا ہے کہ خیر البشر دیکھتے ہیں
کریں فخر قسمت پہ جتنا بھی چاہیں
جو در ان کا ہر ہر نظر دیکھتے ہیں
مشارق وسیلے سے خیر الورا کے
دعاؤں میں اپنی اثر دیکھتے ہیں
تاریخ۱۰ دسمبر ۱۹۹۲ عیسوی پنڈری رشید احمد کے مکان پر
Khair-ul-Bashar Dekhte Hain
Arab aur Ajam mein jidhar dekhte hain
Tere naqsh-e-paa hum udhar dekhte hain
Dhani hai muqaddar ke ahl-e-Madina
Tere dar ke shaam o sahar dekhte hain
Nabi Paak ke rooye anwar ki jaanib
Ta‘ajjub se shams o qamar dekhte hain
Jamaal o jalaal Nabi Allah Allah
Sahabaaye ahl-e-nazar dekhte hain
Jo mehfil mein baithen to ghaafil na baithen
Suna hai ke Khair-ul-Bashar dekhte hain
Karein fakhr qismat pe jitna bhi chahen
Jo dar un ka har har nazar dekhte hain
Mashariq waseele se Khair-ul-wara ke
Duaon mein apni asar dekhte hain
10 December 1992 Aiswi Pandri Rasheed Ahmad ke makan par