یہ صداۓ مکہ ہے مصطفے کی أمد ہے
اور خوش مدینہ ہے مصطفے کی أمد ہے
جھیل اور جھرنوں میں پیڑ اور پودھوں میں
ہر طرف یہ چرچہ ہے مصطفے کی أمد ہے
جب عرب کی وادی سے یہ صدا سنائی دی
بت کدہ بھی لرزا ہے مصطفے کی أمد ہے
سر کو پیٹ کر اپنے یہ کہا اندھیروں نے
نور کا سویرا ہے مصطفے کی أمد ہے
جبرئیل کعبہ کی چھت پہ گاڑدو جھنڈا
حق تعالیٰ کہتا ہے مصطفے کی أمد ہے
چوم کر شہ دیں کو یہ کہا حلیمہ نے
جاگ اٹھا نصیبہ ہے مصطفے کی أمد ہے
نور کا بنی مرکز جھوپڑی مری لوگو
کہہ رہی حلیمہ ہے مصطفے کی أمد ہے
ظلم اور ظالم کا اب عرب کی دھرتی سے
راج مٹنے والا ہے مصطفے کی أمد ہے
ہر چمن مہک اٹھا ہر کلی ہے مسکای
شاد غنچہ غنچہ ہے مصطفے کی أمد ہے
ان کی آمد آمد پر یہ شرافت خستہ
نعت گنگناتا ہے مصطفے کی أمد ہے
Yeh sada-e-Makka hai Mustafa ki aamad hai
Aur khush Madina hai Mustafa ki aamad hai
Jheel aur jharnon mein pair aur poudhon mein
Har taraf yeh charcha hai Mustafa ki aamad hai
Jab Arab ki waadi se yeh sada sunaai di
But-kadah bhi larza hai Mustafa ki aamad hai
Sar ko peet kar apne yeh kaha andheron ne
Noor ka sawera hai Mustafa ki aamad hai
Jibraeel Kaaba ki chhat pe gaar do jhanda
Haq Ta‘ala kehta hai Mustafa ki aamad hai
Choom kar Shah-e-Deen ko yeh kaha Haleema ne
Jaag utha naseeba hai Mustafa ki aamad hai
Noor ka bana markaz jhopri meri logo
Keh rahi Haleema hai Mustafa ki aamad hai
Zulm aur zaalim ka ab Arab ki dharti se
Raaj mitne wala hai Mustafa ki aamad hai
Har chaman mehak utha har kali hai muskaai
Shaad ghuncha ghuncha hai Mustafa ki aamad hai
Un ki aamad aamad par yeh Sharafat khasta
Naat gungunaata hai Mustafa ki aamad hai




