کہتا سنسار ہے مدینے میں
رب کا دلدار ہے مدینے میں
جن و انسان ہوںکہ حورو ملک
سب کا غم خوار ہے مدینے م
سوئی قسمت کامیری ہر گوشہ
ہوتا بیدار ہے مدینے میں
وہ مقدر کا. ہے سکندر جو
پہونچا اک. بار ہے مدینے میں
گلستاں جس پہ ناز کرتا ہے
ایسا ہر خار ہے مدینے میں
دو جہاں میں کہاں وہ ملتا ہے
ملتا جو پیار ہے مدینے میں
جس ہر اک گناہ دھلتے ہیں
ایسی بوچھار ہے مدینے میں
وجہ تخلیق ذات ہے جس کی
ہاں وہ مختار ہے مدینے میں
جس پہ قرباں ہراک شرافت ہے
رب کا وہ یار ہے مدینے میں
Kehta sansaar hai Madine mein
Rab ka dildaar hai Madine mein
Jinn o insaan hon ke hooren o malik
Sab ka ghamkhwaar hai Madine mein
Soi qismat ka meri har goshah
Hota bedaaar hai Madine mein
Woh muqaddar ka hai Sikandar jo
Pohncha ek baar hai Madine mein
Gulistaan jis pe naaz karta hai
Aisa har khaar hai Madine mein
Do jahan mein kahan woh milta hai
Milta jo pyaar hai Madine mein
Jis se har ek gunaah dhulte hain
Aisi bochhaar hai Madine mein
Wajah-e-takhleeq zaat hai jis ki
Haan woh mukhtaar hai Madine mein
Jis pe qurbaan har ek Sharafat hai
Rab ka woh yaar hai Madine mein




