میرے نبی کی دیکھو شان بچہ بچہ ہے قربان

syed Mashariqul anwar

شان نبی

میرے نبی کی دیکھو شان بچہ بچہ ہے قربان
ان کا کرم ان کا احسان بچہ بچہ ہے قربان

ان کی صورت شمس و قمر ان کی سیرت کا ہے اثر
کلمہ پڑھے ہیں دشمن جان بچہ بچہ ہے قربان

سارے نبیوں میں افضل ان کا نہیں ہے کوئی بدل
دیکھ فرشتے ہیں حیران بچہ بچہ ہے قربان

آج نبی کی آمد ہے آمنہ کا گھر آنگن ہے
عرش سے آئے ہیں مہمان بچہ بچہ ہے قربان

ان کے در کی عظمت پر روح الامیں کی قسمت پر
رشک کریں سارے دربان بچہ بچہ ہے قربان

لمحہ لمحہ الجھن ہے ہر لمحہ من بوجھل ہے
راہ کرو آقا آسان بچہ بچہ ہے قربان

کاش امیدیں بر آئیں خواب میں آقا آ جائیں
پورا ہو سب کا ارمان بچہ بچہ ہے قربان

جشن نبی کا یہ منظر جیسے طیبہ کا ہو سفر
دیکھو مشارق آج ایمان بچہ بچہ ہے قربان

تاریخ ۱۲ ربیع الاول شریف ۱۴۲۶ ہجری ۱۱ مئی ۲۰۰۵ عیسوی مکن پور شریف در آستانہ قطب المدار رضی اللہ تعالی عنہ


Shaan-e-Nabi

Mere Nabi ki dekho shaan bachcha bachcha hai qurban
Un ka karam un ka ehsaan bachcha bachcha hai qurban

Un ki soorat shams o qamar un ki seerat ka hai asar
Kalma padhe hain dushman jaan bachcha bachcha hai qurban

Saare Nabiyoñ mein afzal un ka nahin hai koi badal
Dekh farishte hain hairaan bachcha bachcha hai qurban

Aaj Nabi ki aamad hai Amina ka ghar aangan hai
Arsh se aaye hain mehmaan bachcha bachcha hai qurban

Un ke dar ki azmat par Rooh-ul-Ameen ki qismat par
Rashk karein saare darbaan bachcha bachcha hai qurban

Lamha lamha uljhan hai har lamha man bojhal hai
Raah karo Aaqa aasaan bachcha bachcha hai qurban

Kaash umeedeñ bar aayeñ khwaab mein Aaqa aa jaayeñ
Poora ho sab ka armaan bachcha bachcha hai qurban

Jashn-e-Nabi ka ye manzar jaise Tayba ka ho safar
Dekho Mashariq aaj imaan bachcha bachcha hai qurban

12 Rabi-ul-Awwal Shareef 1426 Hijri 11 May 2005 Aiswi Makanpur Shareef dar Aastana Qutb-ul-Madar R.A.

Tagged:

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *