کردار حسینی
کس درجہ لوگو صاحب کردار ہیں حسین
جنت میں نوجوانوں کے سردار ہیں حسین
دشمن کی صف کی صف کو پلٹ کر کے رکھ دیا
شیر خدا کے عزم کا شاہکار ہیں حسین
ابن خطاب ابن عمر سے یہ کہہ اٹھے
تم کیا ہو بیٹے میرے بھی سرکار ہیں حسین
ناموس رسالت کی حفاظت کے واسطے
کربل میں لے کے اگئے گھر بار ہیں حسین
اکبر کا لاشہ عابد بیمار کی کسک
اللہ کیسی صبر کی دیوار ہیں حسین
جس وقت نے اسلام کی تقدیر بدل دی
کربل کے ایسے وقت کی رفتار ہیں حسین
بے یار و مددگار مشارق کو نہ سمجھو
اس کے ہر ایک لمحہ مددگار ہیں حسین
Kirdar Husaini
Kis darja logo saahib-e-kirdar hain Husain
Jannat mein nojawanoñ ke sardaar hain Husain
Dushman ki saf ki saf ko palat kar ke rakh diya
Sher-e-Khuda ke azm ka shahkaar hain Husain
Ibn-e-Khattab ibn-e-Umar se yeh keh uThe
Tum kya ho bete mere bhi Sarkar hain Husain
Naamoos-e-Risaalat ki hifaazat ke waaste
Karbala mein le ke agaye ghar baar hain Husain
Akbar ka laasha Abid beemaar ki kasak
Allah kaisi sabr ki deewaar hain Husain
Jis waqt ne Islam ki taqdeer badal di
Karbala ke aise waqt ki raftaar hain Husain
Be yaar o madadgaar Mashariq ko na samjho
Is ke har ek lamha madadgaar hain Husain