زندہ مدار ہیں
ولیوں میں سب سے اعلی بڑے باوقار ہیں
زندہ مدار ہیں میرے زندہ مدار ہیں
ہر اک زباں پہ آپ کا چرچہ سنائی دے
ہر جا مدار پاک کا جلوہ دکھائی دے
تبہ بڑا ہے آپ کا قطب المدار ہیں
زندہ مدار ہیں میرے زندہ مدار ہیں
ٹھوکر میں رب نے جن کی عطا کر دی کیمیا
جس کی نظر نے بگڑا مقدر بنا دیا
اس کی کرامتیں تو بہت بے شمار ہیں
زندہ مدار ہیں میرے زندہ مدار ہیں
چشتی و قادری و سہروردی اشرفی
برکاتی نوری اور نظامی کہیں سبھی
میخانۂ مدار کے ہم بادہ خوار ہیں
زندہ مدار ہیں میرے زندہ مدار ہیں
اللہ کا کرم ہے عنایت مدار کی
کافی ہے آج ہم کو حمایت مدار کی
یہ کیا ہے کم کہ ہم بھی غلام مدار ہیں
زندہ مدار ہیں میرے زندہ مدار ہیں
فریاد لے کے در پہ مشارق ہے آگیا
اس کو یقیں ہے اس کا مقدر چمک گیا
قسمت اسکی ان کے گہر جلوہ بار ہیں
زندہ مدار ہیں میرے زندہ مدار ہیں
Zinda Madar Hain
Waliyon mein sab se aala bare bawqar hain
Zinda Madar hain mere Zinda Madar hain
Har ek zabaan pe aap ka charcha sunai de
Har ja Madar Paak ka jalwa dikhai de
Tabah bada hai aap ka Qutub ul Madar hain
Zinda Madar hain mere Zinda Madar hain
Thokar mein Rab ne jin ki ata kar di keemiya
Jis ki nazar ne bigra muqaddar bana diya
Us ki karamatain to bohot beshumaar hain
Zinda Madar hain mere Zinda Madar hain
Chishti o Qadri o Suharwardi Ashrafi
Barkati Noori aur Nizami kahein sabhi
Meikhana-e-Madar ke hum baadah khwaar hain
Zinda Madar hain mere Zinda Madar hain
Allah ka karam hai inayat Madar ki
Kaafi hai aaj hum ko himayat Madar ki
Ye kya hai kam ke hum bhi ghulaam Madar hain
Zinda Madar hain mere Zinda Madar hain
Faryaad le ke dar pe Mashariq hai aagaya
Us ko yaqeen hai us ka muqaddar chamak gaya
Qismat uski un ke gohar jalwa bar hain
Zinda Madar hain mere Zinda Madar hain